Learn These Things Now
1. Family Ki Value Karo Kyu Ke Jab Aap Akele Rahoge Tab Apko
Apni Family Ki Value Ka Ehsas Hoga Ke Unke Sath Rehne aur Akele Rehne Mein
Bohat Farq Hota Hai, Isliye Apni Family Ke Saath Waqt Guzaron.
2. Maa Ke Haath Ka Khana! Har Insan Ko Apni Maa Ke Haath Ka
Khana Bohat Pasand Hota Hai Isliye Jab Aapki Maa Apke Liye Kuch Khaane Ko Laaye
Toh Unka Shukriya Aada Karo aur Agar Khana Kharab Bhi Ho Thoda Toh Fir Bhi Aap
Unka Shukriya Aada Karo Kyu Ke Wo Apki Maa Hai aur Unhone Apki Khushi Ke Liye
Hee Ye Cheez Banayi Hai, Warna Puchlo Unn Logon Se Jinki Maa Nahi Hai Wo Taras
Jaate Hai Maa Ke Haath Ka Khana Khaane Ke Liye.
3. Motivation Se Bhi Zyada Discipline Zaroori Hai, Kyu Ke
Aapko Motivation Mil Gaya Ke Mujhe Ye Kaam Karna Hai Lekin Jab Tak Apke Pas
Discipline Nahi Hoga Aap Uss Kaam Mein Kitne Hee Mahir Kyu Na Ho Apko Kabhi Uss
Cheez Mein Success Nahi Milegi.
4. Hamari Aadatein Hee Hamara Future Hota Hai, Haa Apne Bilkul
Sahi Padha Ke Hamari Aadatein Hee Hamara Future Hoti Hai, Agar Ek Insan Koi
Accha Kaam Karta Hai Toh Usko Aage Jaake Uska Fayda Hota Hee Hai Jaise Ke Ek
Insan Roz Subah Exercise Karta Hai aur Healthy Foods Khaata Hai Toh Wo Bohat
Lambe Samay Tak Healthy Rahega, aur Agar Ek Insan Cigarette Peeta Hai Toh Aage
Chal Ke Usko Uss Buri Cheez Ka Side-Effect Hona Hee Hai Jaise Cancer Jaisi Badi
Beemari.
5. Drinking and Smoking Ek Buri Aadat Hai, Lekin Kaafi Log Ye
Samjhte Hai Ke Vodka Drink Karne Se Ya Koi Branded Cigarette Peene Se Unki
Personality Ko Chaar Chand Lag Jaate Hai Toh Wo Bilkul Galat Hai.
6. Agar Aap Kuch Aisa Karna Chahte Hai, Jo Aap Kisi Wajah Se
Nahi Kar Paaye They Toh Zaroor Uss Kaam Ko Start Kare Chahe Wo Kuch Bhi Ho, Koi
Kaam Start Karne Ke Liye Kisi Waqt Ki Zarurat Nahi Hai.
7. Zindagi Ka Sabse Badaa Risk Ye Hai Ke Aap Kabhi Risk Nahi
Leete Hai.
8. Agar Tumhe Haar Jaane Ka Darr Hai Toh Mere Dost Tum Kabhi
Kamyab Nahi Ho Paoge.
9. Kabhi Kabhi Raaton Raat Success Paane Ke Liye Bhi 20 se 25
Saal Lag Jaate Hai, Ek Olympic Medalist Bhi Kitne Saalon Se Mehnat Karta Hai
aur Waqt Aane Par Wo Safal Hota Hai aur Raaton Raat Successful Hojata Hai.
10. Hamari Zindagi Mein Har Cheez Kisi Na Kisi Acchi Cheez Ke
Liye Hoti Hai.
11. Learn to Say No, Naa Kehna Seekho Jaise Apko Apke Dost Ne
Kisi Cheez Ke Liye Invite Kiya Like Party ya Drinks Ke Liye aur Apko Nahi Jaana
Toh Usse Saaf Saaf No Kehdo.
I Hope Aap Logon Ko Ye Post Pasand Aayi Hogi, Please Iss Post
Ko Apne Doston Ke Saath Bhi Share Kare. Thank-You.
2 Comments
Bohat hee badhiya bhai
ReplyDeleteBest Shayari Collection 2019
Bohat hee badhiya bhai
ReplyDeleteLearn Digital Marketing A to Z