Facebook Mein Ab Ayega WhatsApp Ka Ye Sabse Bada Feature | Facebook Messenger Gets One Of The 'Biggest Feature' Of WhatsApp


Facebook Mein Ab Ayega WhatsApp Ka Ye Sabse Bada Feature | Facebook Messenger Gets One Of The 'Biggest Feature' Of WhatsApp

Hello Friends, I hope aap sab theek honge aaj ke article mein hum dekhenge ke Facebook apne system mein konsa new update laane wali hai.


Social Networking ke badshah Facebook ne ab ye faisla kiya hai ke wo WhatsApp ka sabse khaas feature apne system mein bhi laayegi, jee Doston apne bilkul sahi suna ab Facebook mein bhi WhatsApp ki tarha aap Message Unsend kar sakte ho.

Facebook mein ye feature kaafi jald aane wala hai aur ye feature kaafi countries mein already aa chuka hai jaise Colombia, Bolivia, Poland aur Lithuania.


Iss Feature se aap koi bhi message delete kar sakte ho jaise aap kisi se kuch chat kar rahe ho aur aapne galti se kuch galat message bhej diya toh aap uss message ko delete kar sakte ho.

Agar aap Facebook par kisi ko koi Message galti se bhej dete ho toh aapko fir uss message pe long click karna hai aur phir apko "Remove For Everyone" ka option milega apko bas uss option par click karna hoga aur apne jo Message galti se bheja hai wo message delete hojayega.


Haa lekin Facebook ne iss feature ki kuch limit set ki hai aap sirf 10 minutes ke ander hee koi bhi message delete kar sakte ho jaise hee 10 minutes hojayenge uske baad aap chahoge bhi toh uss message ko delete nahi kar sakte ho kyu ke Facebook ka ye manna hai ke 10 Minutes kaafi hote hai galti se send kiye huye message ko delete karne ke liye.

agar aapko Facebook ya WhatsApp download karna hai toh maine aapko niche red box mein link de dee hai aap uss red box par click kar ke Link download kar.



Main umeed karta hu ke aap logon ko hamari ye post pasand aayi hogi please iss post ko apne friends and relatives ke saath zaroor share kare. Agar apko koi problem ho toh comment mein bata de hum aapki puri madad karenge. ThankYou.

0 Comments