Apple IPhone X Ki Delete Ki Huyi Photos Ko Hackers Ne Kiya Access | Hackers Can Access Your Recently Deleted Photos On Apple IPhone X
Hello Friends, I hope aap sab theek honge aaj ke iss article mein main apko bataunga ke Kuch Hackers Ke Group ne kaise Apple IPhone X ki delete ki huyi photos ko kiya access.
Fluoroacetate Naam se ek Hackers Ka Group hai jisne recently ek attack kiya aur IPhone X ki delete ki huyi photos and files ko recover kiya, Pwn2Own Hacking Contest jo ke Tokyo mein ho raha tha usmein Iss Fluoroacetate naami group ne ek aisa Attack kiya jisse unhone IPhone X ki jismein IOS 12.1 Version run ho raha tha uss phone ki delete ki huyi images and files ko recover kiya.
Friends, Hackers kuch techniques and thoda brain ka use kar ke System ko hack kar hee lete hai mere khayal se aisi koi cheez nahi hai jo hackers hack na kar paaye agar kisi hacker ne ye thaan liya ke mujhe ye cheez hack karna hai toh wo hack kar ke hee rehta hai chahe kuch bhi hojaye aur koi bank account ya koi credit card etc safe nahi hai chahe kitni bhi security leke aajao hackers koi bhi security ko break kar hee dete hai aur main koi hackers ki tareef nahi kar raha hu aur na ye keh raha hu ke jo ye Hackers iss tarha kisi ki personal details ya bank details hack kar lete hai wo sahi kar rahe hai main bas ye kehna chahta hu ke Online koi bhi cheez safe nahi hai.
Hacking Show mein Richard Zhu and Amat Cama ne ye show kiya ke kaise hum kisi Apple IPhone X ko target kar sakte hai Malicious Wi-Fi access point ke zariye aur kaise attack kar sakte hai Safari Browser pe jisse hum delete huyi images and files ko access kar paaye.
Sabse pehle Forbes ne ye bataya ke, kaise ek Hacker Duo ne JIT (Just In Time) Compiler Bug ka use kar ke kaise direct access paaya "Recently Deleted" Folder par, friends jab hum IPhone X mein photos ya koi files delete karte hai toh wo 40 Days ke liye "Recently Deleted" naam ke folder mein save hojati hai aur hum chahe toh uss folder se bhi permanent delete kar sakte hai lekin after 40 days wo files ya images automatic delete hojati hai.
Hackers iss Technique ko use kar ke kisi bhi IPHONE X ki files ya photos jo "RECENTLY DELETED" folder mein save hai uspe access paa lete hai, ye cheez sunne mein badi ajeeb hai lekin aisa ho raha hai aur bas intezar hai ke kab Apple apne iss Bug ko repair karte hai.
Khud Ko Iss Tarha Ke Attack Se Kaise Bachaye?
Ummmmmm..............Sabse easy method ye hai ke aap jab koi file ya photo delete kare i know bohat saare logon ki kuch important files hoti hai ya koi private photos hoti hai toh agar apki koi aisi private photo ya files hai toh usse kisi laptop ya dusre phone main save karle ye zyada better rahega anyways aap jab koi file ya photo apne IPhone X se delete kare toh uske baad uss file ya photo ko "Recently Deleted" naam ke folder se permanent delete karde aapne jab uss file ya photo ko permanent delete kar diya toh uske baad aap iss tarha ke attack se save ho.
Apple Company ne apne iss bug ke baare mein pehle hee bata diya tha aur Apple apne iss bug pe work kar raha hai aur aane wale IOS Update mein hum ye umeed karte hai ke Apple apne iss BUG ko Patch kar dega aur Users ko iss tarha ki pareshani nahi jhelni hogi.
Bas Sawal ye aata hai ke 1 Lakh rupees deke jab koi phone laaye aur wo phone Save hee na ho uss phone mein Uss insan ki privacy hee save na ho toh kya fayda 1 Lakh ka phone leke? aap kya sochte ho iss baarein mein hamein comment kar ke bataye aur iss post ko apne Friends and Relatives ke saath zaroor share kare.
Trending Post on FAINAS18
2. Whatsapp Chat Hack
3. Whatsapp Tricks
0 Comments