Khud Ko WhatsApp Par Unblock Kaise Kare | How To Unblock Yourself on WhatsApp
Hello Friends, i hope aap sab theek honge aaj ke iss article mein aap seekhenge ke agar apko kisi ne WhatsApp par Block kar diya hai toh aap khud ko kaise unblock kar sakte hai ya karwa sakte hai. toh iss article ko end tak padhna aur kisi bhi step ko miss mat karna.
![]() |
How To Unblock Yourself On WhatsApp In Hindi |
Kabhi kabhi aise halaat aate hai ke aap kisi se WhatsApp par Chat karte ho aur kuch misunderstanding hojati hai lekin wo misunderstanding clear hone se pehle hee samne wala banda apko Block kar deta hai aur aap ki jo bhi misunderstanding hai wo reh jaati hai aur aap usse WhatsApp par kisi bhi tarha ka WhatsApp par contact nahi kar paate ho jaise Chat, Call ya Video Call.
agar apko WhatsApp par kisi chat ki DP nahi dikh rahi hai ya aap usse message bhej rahe ho lekin kaafi time se wo 1 tick hai toh 99% chance hai ke usne aapko block kar diya hai.
Method 1 : Aap simply usse normal call kijiye aur waha par discuss kariye jo bhi baat ho agar aap usse normal call nahi kar sakte toh method 2 ya method 3 padhiye.
Method 2 : Agar apke pas koi dusra number ho toh uss number ko WhatsApp par activate kariye aur usse message kariye ya phir aap uss number se ek WhatsApp Group banaye aur apne number ko aur apko jisne block kiya hai uske number ko add kare aur phir waha message kare aur agar apke pas extra number nahi hai toh phir aap Method 3 dekhiye.
Method 3 : Sabse pehle aap apne chats ka backup le lein aur chats ka backup lene ke liye sabse pehle aap WhatsApp open kare aur settings mein jaaye aur phir Chats mein jaaye aur apko waha backup option dikhega aur aap usse normal memory card mein save karle ya Google Drive mein save karle uske baad, aapko phir WhatsApp ki Settings mein jaana hai aur Account pe click karna hai aur phir Delete My Account par click karna hai jab aap account delete karenge tab apse WhatsApp apka country code aur mobile number puchega aap simply waha pe country code aur mobile number daal de phir aapka WhatsApp Account puri tarha se delete hojayega phir apko 3 se 5 hours wait karna hai aur uske baad WhatsApp open kar ke apna WhatsApp Activate karna hai aur jab aap WhatsApp Activate kar lenge uske baad apko chats open karna hai aur aap waha dekhenge ke apko jisne block kiya tha uski DP aur STATUS show hoga aur aap usse message bhi kar paoge aur ye sabse sahi waqt ya toh usse message kar ke matter solve karne ka ya toh usse block karne ka choice is your.
Note : Ye Trick abhi jo WhatsApp hai usmein kaam karti hai lekin main responsible nahi hu agar ye trick aap ke saath kaam nahi ki and main sure hu ke future mein WhatsApp apne iss bug ko jald se jald repair kar dega.
I hope apko ye post pasand aayi hogi please iss post ko apne friends and relatives ke saath share kare aur hamari website visit kariye. ThankYou.
Trending Post
Wifi Ke Password ko hack kare : https://www.fainas18.com/2018/11/wifi-ke-password-ko-kaise-hack-kare.html
Instagram ke account ko hack kare : https://www.fainas18.com/2018/11/hack-instagram-account-very-easily.html
2 Comments
03454423347
ReplyDeletesir ya mera number band ha whats apps par but mny unko mail b ki ha whats apps par but unho nay unbaned nai kia 3 mah hogy ha koi hal ha ap k pass iska baty plz
apko tension lene ki zaroorat nahi hai main kal iss cheez par ek article likhunga aap usse padh lena aur youtube pe bhi iss topic pe video bana dunnga aur app usse bhi dekh lena bas aap kal ka wait kijiye.
Delete