Kya Social Media Ki Wajah Se Aap Pareshan Ho | Social Media Makes You Lonely And Depressed
Hello Friends, I Hope Aap Sab Theek Honge Aaj Ke Iss Article Mein Hum Social Media Ke Zyada Istemal Se Hone Wali Problems Ke Baarein Mein Padhenge.
![]() |
Social Media Se Hone Wale Nuksan |
Ek University jo ke Pennsylvania mein hai uss University mein ye sabit hua hai ke agar aap roz 10 minutes Social Media use karna kam karte ho toh aapka Depression aur Loneliness bhi kam hota jaata hai.
Kya apko Akelapan mehsus hota hai aur aap Pareshan rehte ho? Agar haa toh Pennsylvania ki University mein ye sabit hua hai ke Soical Media ka zyada istemal karna hee iski wajah hai - ye bilkul ajeeb report hai kyu ke social media stress aur tension ko kam karne ke liye banaya gaya hai aur report mein bilkul opposite aaya hai ke Soical Media ki wajah se insan depress aur akela feel karta hai.
Jo research Pennsylvania mein huyi thi wo koi normal Lab Test nahi tha jaisa ke mostly test mein logon ko kuch weeks ya months ke liye rakha jaata hai aur unke behaviours and movements pe nazar rakhi jaati hai lekin iss case mein aisa nahi hai ye jo research Pennsylvania University mein huyi thi uss University ne direct users ke Data ko Track kiya aur pata lagaya ke konsa user kitni der tak Social Media use karta hai.
Total 143 Students ne iss Research mein hissa liya aur inn sab logon ne apne average time matlab ke normally wo log kitni der Social Media use karte hai uske screenshot ko submit kiya aur sabse zyada 3 Most Popular Social Media par wo log zyada hote they FACEBOOK, INSTAGRAM, SNAPCHAT. Phir inn students ko kuch groups mein bat diya gaya aur inn logon ki normal social media surfing ko maintain rakha gaya aur experiment sirf 10 minutes ko hota tha jo ke pure 3 hafte tak chala.
Inn sab se ye malum hua ke jo log Social Media ka zyada use karte hai wo log zyada pareshan aur khud ko akela mehsus karte hai, inn 3 hafton mein jin students ne iss Experiment mein hissa liya tha wo log daily apne Social Media pe guzarein huye waqt ki jankari de dete they aur iske sath sath inke moods par bhi nazar rakhi jaati thi aur inn sab ke baad ye sabit hua ke Social Media ke kam istemal se log zyada Khush rehte hai.
Social Media Platform par bhi bohat zyada competition badh gaya hai aur day by day companies new changes kar rahi aur normal human bhi khoob mazein se ismein hissa lete hai aur sirf LIKES, SHARE aur FOLLOWERS badhane mein laga huye hai lekin ab aisa nahi hoga because finally ye prove ho chuka hai ke Social Media ke zyada istemal se aap khud ko akela feel karoge aur pareshan rahoge.
I Hope Aap Logon Ko Meri Ye Post Pasand Aayi Hogi aur Please Iss Post Ko Zyada Se Zyada Share Kare. Thank-You.
#socialmedia
#socialmediainhindi
#socialmediadisadvantage
#fainas18
#hindi
0 Comments