WhatsApp Will Start Showing Ads On Status Section
Hello Friends, I Hope Aap Sab Theek Honge aur Aaj Ke Iss Article Mein Hum Baat Karenge Ke Kya WhatsApp Mein Bhi Advertisement Show Hogi?
Chris Daniels jo ke Vice President hai WhatsApp ke, unhone Wednessday ko kaha ke WhatsApp mein ab Advertisement show hogi, Facebook ke duara WhatsApp par Advertisement show hogi aur WhatsApp mein hamein Advertisement Status ke section mein dekhne ko milegi.
FACEBOOK ne WHATSAPP Company ko khareed liya tha aur ab Facebook ke duara hee WhatsApp par advertisement show hogi, Facebook companies se paise leke WhatsApp par advertisement show karegi aur sutron se ye sabit hua hai ke WhatsApp mein Advertisement next year se dekhne ko mil sakti hai abhi haal filhal mein WhatsApp ne 100 companies ki advertisement test ki thi apne application mein.
abhi tak ye saaf nahi ho paaya hai ke WhatsApp mein advertisement kis tarah se dikhegi, hamara matlab ye hai ke kya Advertisement randomly kisi bhi user ko dikhegi ya user ke interest pe dikhegi.
WhatsApp jo duniya ka sabse bada messaging application hai aur sirf india mein WhatsApp 250M se zyada log istemal karte hai, WhatsApp jab aaya tha tab ye Advertisement free tha lekin Facebook ne isse 2014 mein 19B Dollars mein khareed liya tha.
WhatsApp ke Founder "Brian Acton" jinhone September 2017 ko Facebook Company se apna rista tod liya tha, uske baad "Mark Zuckerberg" ne issi pichle dino mein ye elaan kiya ke WhatsApp mein bhi ab Targeted Advertisement dekhne ko milegi. Targeted Advertising Brian Acton ko pasand nahi hai.
Brian Acton ne ek proposal rakha tha ke agar WhatsApp se paise kamane hai toh pehle users ko kuch months ya year tak free message bhejne ki ijazat hogi uske baad user ko apne WhatsApp account ko continue use karne ke liye kuch amount pay karna hoga aur ye cheez WhatsApp mein pehle se maujood thi.
Anyways, inn baaton se ye pata chalta hai ke WhatsApp mein bohat jald hamein Advertisement dekhne ko milegi.
Advertisment ki bhi bohat saari categories hai jasie ke EMAIL MARKETING, BULK SMS MARKETING, FACEBOOK MARKETING, etc.
I Hope Apko Ye Post Pasand Aayi Hogi, Please Iss Post Ko Zyada se Zyada Share Kare Apka Ek Baar Share Karna Hamein aur Apko Hum Dono Ko Fayda Pahuchata Hai. ThankYou.
#whatsappnews
#whatsapplatestnews
#technews


0 Comments