Android Phone Ko Root Kaise Kare | How To Root Android Phone

How to Root Android Device,Root Karne Se Kya Hota Hai?

“Main Aaj Inn Topics Pe Baat Karunga”

How to Root Android Device?

Hello Friends, I hope aap sab theek honge aaj ki post mein hum Android Phone ko Root karne ke baare mein seekhenge.

how to root android phone, kingroot, root android phone, easy way to root android phone, android ko root kaise kare, android phone ko root kaise kare, android phone ko root kaise kare in hindi, how to root android device in hindi, how to root android device in hindi, how to root using kingroot, how to root redmi note 3, how to root redmi note 4, how to root realme 2, how to root oneplus, how to root oppo, how to root samsung phone, root karne ke fayde, root karne ke nuksan, kya root karne se phone kharab hojayega, kya root karne se phone band hojayega


Android Phone Ko Root Karne Ke 2 Rastein Hai aur Inn Raston Ko Maine Kuch Alag Naam Diye Hai.

1. Easy Method.

2. Risky Method.

Easy Method : Easy Method Matlab Android Phones Ko Easily and Secure Way Se Root Karne Wale Software, Jaise Ke "KingRoot", "KingRoot" Application Android and Windows Dono Platform Par Available Hai, Aap Chahe Toh Apne Android Phone Mein Kingroot Install Kar Ke Root Kar Sakte Hai ya Toh Windows Operating System (Computer or Laptop) Mein KingRoot Software Ko Install Kar Ke Aap Apne Phone Ko Root Kar Sakte Hai.


"KingRoot" Se Apko Apne Android Phone Ko Root Karna Hai Toh Downloading Link Maine Apko Niche Diya Hua Hai Waha Click Kar Ke Usse Apne Android Phone Ke Liye ya Windows Computer or Windows Laptop Ke Liye Download and Install Karle.


Root Kaise Kare?

"KingRoot" Agar Aapne Apne Android Phone Mein Install Kiya Hai Toh "KingRoot" Ko Sabse Pehle Open Karle and Jab Aap Open Karenge Tab Apko Screen Par "Root Now" ya "Root" Button Show Hoga Simply Uspe Click Kar Ke 2 Minutes to 5 Minutes Wait Karna Hoga, and 2  Minutes to 5 Minutes Wait Karne Ke Baad Apka Phone "Root" Hojayega, Apko Successfully Root Likha Hua Show Hoga and Agar Apko Unsuccessfull Show Hua Toh Iska Matlab Apke Phone Ke Liye Root Karne Ka Method Abhi Tak Unke Pas Nahi Aaya Hai.

Also Read : WhatsApp Dark Mode


Agar Aapne "KingRoot" Ko Windows Mein Install Kiya Hai Toh Apko "KingRoot" Open Karna Hai aur Apne Android Phone Ko Apne Windows Computer ya Windows Laptop Se Connect Karna Hai aur Apko Apne Phone Ko Windows Se Normally USB Cable Se Connect Karna Hai aur Jab Apka Android Device Windows Se Successfully Connect Hojayega Tab Apko "KingRoot" Software Jo Apne Open Kar Ke Rakha Hai Waha "Root" Likha Hua "Button" Show Hoga aur Phir Apko Uss "Button" Pe Click Karna Hai 2 Minutes to 5 Minutes Wait Karna Hoga aur Phir Apko "Successfully Rooted" Likha Hua Show Hoga Jiska Matlab Apka Android Phone Ab Puri Tarah Se Root Ho Chuka Hai aur Agar "Unsuccessfull" Likha Hua Show Hoga Toh Iska Matlab Abhi Tak Unn Logon Ke Pas Apke Android Phone Ko Root Karne Ka Method Nahi Aaya Hai.

Also Read : FaceBook Mein WhatsApp Ka Ye Feature Ayega

Risky Method : Risky Method Matlab Ke Risk Leke Root Karna Hai, Jaise Ke Apko Bohat Saari Website Par Root Karne Ke Liye Kuch Zip Files Milti Hai Jiska Use Kar Ke Aap Apne Phone Ko Root Kar Sakte Hai, Lekin Uss Method Mein Agar Kuch Problem Aayi ya Apne Uss Zip File Ko Theek Tarah Se Install Nahi Kiya Toh Apka Phone Band Ho Sakta Hai ya Toh Apke Android Phone Ka MotherBoard Bilkul Kharab Ho Sakta Hai aur Mobile Hamesha Ke Liye Band Bhi Ho Sakta Hai, Agar Aapko Apne Android Phone Ko Iss Method Se Root Karna Hai Toh Apko "Google" Pe Likhna Hai "How to Root" and Iske Baad Apne Mobile Ka Naam Likhna Hoga Jaise Ke "How to RootSamsung Galaxy 9", Iske Baad Apko Hazaaron Websites Mil Jayegi Jismein Bataya Jayega Ke Aap Apne Phone Ko Kaise Root Kar Sakte Ho aur Waha Se Apko 2 Zip File Milegi aur Apko Phir "Recovery Mode" Pe Jaana Hoga Fir "Custom Recovery" Insall Karna Hoga aur Fir Apko Apna Android Phone Switch Off Kar Ke Firse "Custom Recovery Mode" Par Aana Hoga aur Fir "Root" File Ko Install Karna Hoga Jiske Baad Apka Phone Puri Tarah Se "Root" Hojayega.

Android Phone Ko Root Karne Se Kya Hoga?


Android Phone Ko Root Karne Ke Bohat Saare Fayde Hai Jaise Ke :

1. Unwanted System Applications Ko Uninstall Kar Sakte Hai.

2. Aap Bohat Saare Games Ko Hack Kar Ke Usmein Coins, Gems and Etc Le Sakte Ho aur Bohat Saari Apps Ko Hack Kar Ke Usko Pro Version Kar Sakte Ho.

3. Aap Apps,Games aur Websites Ke Advertisement Ko Remove Kar Sate Ho.

4. Aap Apne Android Phone Ko Customise Kar Sakte Ho.

5. High End Graphic Games Ko Apne Low Ram Wale ya Low Graphic Wale Phone Mein Bina Kisi Lagging Ke Khel Sakte Ho aur Issi Tarah ke Bohat Saare Fayde Hai.

"Ab Jis Tarha Root Karne Ke Fayde Hai Ussi Tarah Uske Nuksan Bhi Hai"

Root Karne Se Kya Nuksan Hoga?

1. Apke Mobile Ki Warranty Nahi Rahegi, Matlab Apne Jo Mobile Purchase Kiya aur Uspe Apko 1 Year Ki Warranty Mili, Magar Apne Fir Apne Android Phone Ko Root Kar Diya Toh Apke Android Phone Ki Warranty Khatam Hojayegi.

2. Mobile Hamesha Ke Liye Band Ho Sakta Hai.

3. Android Phone Ka Operating System Kharab Ho Sakta Hai.

"Agar Aapne Apne Phone Ko Root Kiya aur Fir Restart Karne Par Mobile On Nahi Ho Raha Toh Iska Matlab Apka Phone Puri Tarah Se Kharab Ho Chuka Hai ya Toh Phone Ka 'MotherBoard' Kharab Hua Hai Jiska Cost Bohat Zyada Hoga".

"Agar Aapne Apne Phone Ko Root Kiya and Restart Karne Par Sirf Logo Tak Aa Raha Hai Toh Iska Matlab Apke Phone Ka Operating System Kharab Hua Hai, Jo Ke Aap Khudse ya Market se 150/- Rs se 350/- Rs Mein Theek Karwa Sakte Ho".

Also Read : Khud Ke Stickers Kaise Banaye WhatsApp Mein

Agar Aap Logon Ko Abhi Bhi Doubt ya Problems Aa Rahi Hai Toh Comment Kar Ke Hamein Bataye, Post Agar Pasand Aayi Ho Toh Apne Doston Ko Saath Isse Share Kare.

0 Comments