WhatsApp Dark Mode Aane Wala Hai Android Aur IOS Ke Liye | WhatsApp To Go Dark On Both IOS and Android Devices
Hello Friends I Hope Aap Sab Theek Honge, Aaj Hum Baat Karne Wale Hai WhatsApp Ke New Feature Ke Baarein Mein.Wo Applications jismein Dark Mode hota hai wo bohat accha hota hai hamari Ankhon ke liye lekin uske saath saath wo hamare Smart Phone ki Battery Life bhi improve karta hai.
WhatsApp toh almost har insan use karta hai jiske pas Smart Phone hai, WhatsApp mein abhi bohat kuch new update aa chuke hai jaise aap kisi bhi group ke message ka reply personally de sakte ho aur stickers send karne ka lajawab feature bhi WhatsApp mein aa hee chuka hai ab bas intezar hai Dark Mode ka aur haa WhatsApp abhi apne Application mein Advertisement bhi laane wale hai uske upar Whatsapp kaafi dino se kaam kar rahe hai.
Also Read : Bohat Saare Log WhatsApp Kyu Delete Karna Chahtein Hai
Raat ke waqt WhatsApp use karna bohat asaan ho jayega aur hamari aankhein bhi mehfooz rahegi agar WhatsApp apne application mein Dark Mode feature ko le aaye, kaafi dinon se afwah chal rahi thi ke WhatsApp Dark Mode aa chuka hai aur WhatsApp par bhi kaafi Fake Message chal rahe they jaise ke iss link par click kare aur fir apke WhatsApp mein dark mode aa jayega main aap logon ko bata du ke wo sab ek Rumour thi.
WABetaInfo ne ye baat ab confirm kardi hai ke WhatsApp mein dark mode aane wala hai aur Dark Mode se related jo bhi cheezein hai wo bhi under - development mein hai, WABetaInfo ne apni ye baat Twitter pe kahi hai.
Also Read : WhatsApp Ke Number Ko Unbanned Kaise Kare
WhatsApp Dark Mode apko Iphone 10 mein dekhne milega abhi aur Windows 10 mein, baaki Android aur IOS ke dusre Version mein thoda waqt lag sakta hai.
Also Read : Khud Ke Stickers WhatsApp Mein Kaise Banaye
Dark Mode hamari Ankhon ke liye accha hota hee lekin saath saath wo hamare Smart Phone ki battery ko bhi save karta hai aur ye baat Google ne khud confirm ki hai, Google ne kaha hai ke Dark Mode ya Night Mode use karne se 14 percent battery save hoti hai because screen brightness 100 se kam hoke 60 percent par hojati hai.
Also Read : WhatsApp Ke Naaye Features
Chaliye ab intezar hai WhatsApp ke iss Dark Mode Feature ka, I Hope Apko Hamari Ye Post Pasand Aayi Hogi Please Iss Useful Information ko apne doston ke saath share kare aur please isse Facebook pe bhi share kare. Thanks For Visiting Friends.
1 Comments
Nice...
ReplyDelete