Why Many Users Want To Delete WhatsApp | WhatsApp Delete Karna Chahte Ho?
![]() |
WhatsApp Latest News |
Aaj Ke Article Mein Hum Janenge Ke Kyu Bohat Saare Log WhatsApp Jaise Application Ko Delete Karna Chahte Hai.
WhatsApp ek bohat zyada hee popular application hai jiska istemal bohat saare users karte hai jinke pas smartphone ho, WhatsApp ek simple messenging application hai aur shayed ye issi wajah se itna famous hai.
Kuch hee dino pehle WhatsApp mein Stickers Send karne ka new feature aaya hai jiske log kaafi khush hai, but kehte hai na yaha kuch Free nahi hai WhatsApp ne kuch dino pehle ye news dee hai ke WhatsApp mein bhi ab Advertisement show hongi jiski testing chalu hai aur hamein advertisement status section mein dekhne ko mil sakti hai.
Jis tarha se Instagram mein hamein status dekhte dekhte Advertisement dekhne milti hai ussi tarha ab kuch dino mein hamein WhatsApp par dekhne ko milegi. WhatsApp ek aisa Application hai jo ke bohat saare Platform par chalta hai jaise ke Android, IoS, Windows Phones and PC.
Also Read : WhatsApp Stickers Kaise Banaye | Konsa App Download Karna Hoga
Abhi kuch dino hee pehle WhatsApp ne ek Poll kiya tha ke kitne users Advertisement se khush hai aur kitne log iss decision se naraz hai uss poll mein 60% logon ne "Haa Hum Khush Hai WhatsApp Ke Advertisement Se" aur 40% Logon ne "Nahi Hum Naraz Hai WhatsApp Ke Iss Decision Se" pe vote kiya hai, main aap logon ko bata du ke ye Voting sirf 1,000 se 1,500 publics ke beech mein huyi thi jismein se sirf itni voting result aayi thi aur aap sab hee jante hai ke Whatsapp use karne wale log Millions ki quantity mein hai toh shayed aur zyada log naraz ho WhatsApp ke iss faisle se.
WhatsApp company ko facebook ne kuch waqt pehle hee buy kar liya tha aur facebook ne phir kuch waqt pehle hee apne advertisement ke feature wali baat keh dee thi, aur hamein kuch waqt baad WhatsApp jaise application mein bhi advertisement dekhne mil sakti hai.
Doston, WhatsApp ek simple aur Ads-Free messanging application hai shayed issi wajah se Whatsapp itna famous hai aur log isse pasand karte hai, please hamein comment kar ke zaroor bataye ke aap log WhatsApp ke iss faislein se khush hai ya naraz hai.
I hope aap logon ko ye post pasand aayi hogi please iss post ko apne friends and relatives ke saath zaroor share karein. Thanks For Visiting.
Trending Post on Fainas18
1. Wifi Kasie Hack Kare aur Uske Liye Konse Software Lagenge
2. Instagram Account Ko Kaise Hack Kare
3. Zindagi Jeene Ka Tareeqa Badlon aur Safal Hojao
4. Best Breakfast For BodyBuilders
5. WhatsApp Number Band Hojaye Toh Kya Kare
6. WhatsApp Ke Aise Features Jo Ab Facebook Mein Ayenge
0 Comments