Benefits Of Green Tea | Green Tea Side Effects | Fainas18
Bohat Saare Indians, Americans and Europeans Green Tea Peetey Hai, aur Shayed Se Aap Log Bhi Peetey Honge, Green Tea Ke Benefits Ki Wajah Se Ye Green Tea Kaafi Teezi Se Log Khareed Rahe Hai aur Usko Pee Rahe Hai.
Black Tea is More Popular But Green Tea Ke Benefits Bohat Zyada Hai aur Taste Bhi Accha Hai Bohat.
Green Tea and Fats :
India Mein Green Tea Logon Ne Weight Loss Karne Ke Liye Consume Kiye Hai, Motape Ki Problem Sirf India Mein Nahi Hai Balke America, Japan aur Bohat Saari European Countries Mein Bhi Hai. Motape Ko Kam Karna Mushkil Kaam Toh Hai aur Usse Bhi Mushkil Motape Ko Kam Kar Ke Apni Health and Figure Ko Maintain Rakhna.
Green Tea Ki Market Green Tea Ke Benefits Ki Wajah Se Grow Huyi Hai aur Green Tea Ek Weight Loss Supplements Ki Tarah Use Hoti Hai, Green Tea Ek Safe and Natural Way Hai Weight Loss Kam Karne Ka aur Apni Sehat Ko Tandurust Rakhne Ka.
Caffeine :
Ek Cup Green Tea Mein 24mg to 40mg Caffeine Hote Hai, Jo Apki Energy Ko Boost Karte Hai aur Apki Calories Ko Teezi Se Burn Karte Hai.
Green Tea and Cancer :
Tea Cancer Se Ladne Mein Madad Karti Hai, Wo Chahe Black Tea Ho ya Green Tea Lekin Cancer Rate Bohat Kam Paaya Jaata Hai Unn Countries Mein Jaha Log Green Tea Roz Peetey Hai. Clinical Studies Mein Ye Paaya Gaya Hai Ke Green Tea Ke Ander Jo Polyphenols Hotey Hai Wo Cancer Nahi Honey Dete Hai aur Cancer Se Ladne Mein Madad Karte Hai.
Bohat Saare Cancer Se Green Tea Ladti Hai Jaise Bladder Cancer, Breast Cancer, Esophageal Cancer, Colorectal Cancer, Lung, Stomach, Skin aur Ovarian Cancer. Usually, Polyphenol Ke Compound Hai Green Tea Ke Ander, Jo Cancer Cells Ko Jism Ke Ander Badhne Se Rokte Hai.
Green Tea Ek Best Drink Hai Aap Black Tea Avoid Kar Ke Green Tea Consume Kare aur Aap Green Tea Ke Ander Shakkar Bilkul Bhi Use Na Kare.
Green Tea Ke Ander Aap Nimbu Ke Ras Ko Mila Le aur Honey Mila Ke Peeya Kare Isse Apka Pet Saaf Rahega, Weight Teezi Se Kam Hoga aur Immune System Strong Hoga.
I Hope Apko Ye Post Pasand Aayi Hogi, Iss Post Ko Apne Doston Ke Saath Share Kar Ke Unhe Bhi Iss Useful Information Ke Baare Mein Bataye. Thank-You.

0 Comments