How Can I Change My Life | Change your Life | Motivational Thoughts

How Can I Change My Life | Change your Life | Motivational Thoughts

"How Can I Change My Life" bohat hard hai lekin kosish karoge toh sab easy hojata hai please post ko pura padhna aur uspe amal karna aap apni life ko zaroor 'change' karloge.

change your life, change, change your life, how to change life, how to change my life, how can i change my life, how to transform your life

1. Family Ki Value Karo Kyu Ke Jab Aap Akele Rahoge Tab Apko Apni Family Ki Value Ka Ehsas Hoga Ke Unke Sath Rehne aur Akele Rehne Mein Bohat Farq Hota Hai, Isliye Apni Family Ke Saath Waqt Guzaron.

2. Maa Ke Haath Ka Khana! Har Insan Ko Apni Maa Ke Haath Ka Khana Bohat Pasand Hota Hai Isliye Jab Aapki Maa Apke Liye Kuch Khaane Ko Laaye Toh Unka Shukriya Aada Karo aur Agar Khana Kharab Bhi Ho Thoda Toh Fir Bhi Aap Unka Shukriya Aada Karo Kyu Ke Wo Apki Maa Hai aur Unhone Apki Khushi Ke Liye Hee Ye Cheez Banayi Hai, Warna Puchlo Unn Logon Se Jinki Maa Nahi Hai Wo Taras Jaate Hai Maa Ke Haath Ka Khana Khaane Ke Liye.


3. Motivation Se Bhi Zyada Discipline Zaroori Hai, Kyu Ke Aapko Motivation Mil Gaya Ke Mujhe Ye Kaam Karna Hai Lekin Jab Tak Apke Pas Discipline Nahi Hoga Aap Uss Kaam Mein Kitne Hee Mahir Kyu Na Ho Apko Kabhi Uss Cheez Mein Success Nahi Milegi.


4. Hamari Aadatein Hee Hamara Future Hota Hai, Haa Apne Bilkul Sahi Padha Ke Hamari Aadatein Hee Hamara Future Hoti Hai, Agar Ek Insan Koi Accha Kaam Karta Hai Toh Usko Aage Jaake Uska Fayda Hota Hee Hai Jaise Ke Ek Insan Roz Subah Exercise Karta Hai aur Healthy Foods Khaata Hai Toh Wo Bohat Lambe Samay Tak Healthy Rahega, aur Agar Ek Insan Cigarette Peeta Hai Toh Aage Chal Ke Usko Uss Buri Cheez Ka Side-Effect Hona Hee Hai Jaise Cancer Jaisi Badi Beemari.

5. Drinking and Smoking Ek Buri Aadat Hai, Lekin Kaafi Log Ye Samjhte Hai Ke Vodka Drink Karne Se Ya Koi Branded Cigarette Peene Se Unki Personality Ko Chaar Chand Lag Jaate Hai Toh Wo Bilkul Galat Hai.

how can i change my life

6. Agar Aap Kuch Aisa Karna Chahte Hai, Jo Aap Kisi Wajah Se Nahi Kar Paaye They Toh Zaroor Uss Kaam Ko Start Kare Chahe Wo Kuch Bhi Ho, Koi Kaam Start Karne Ke Liye Kisi Waqt Ki Zarurat Nahi Hai.


7. Zindagi Ka Sabse Badaa Risk Ye Hai Ke Aap Kabhi Risk Nahi Leete Hai.

8. Agar Tumhe Haar Jaane Ka Darr Hai Toh Mere Dost Tum Kabhi Kamyab Nahi Ho Paoge.


9. Kabhi Kabhi Raaton Raat Success Paane Ke Liye Bhi 20 se 25 Saal Lag Jaate Hai, Ek Olympic Medalist Bhi Kitne Saalon Se Mehnat Karta Hai aur Waqt Aane Par Wo Safal Hota Hai aur Raaton Raat Successful Hojata Hai.


10. Hamari Zindagi Mein Har Cheez Kisi Na Kisi Acchi Cheez Ke Liye Hoti Hai.

11. Learn to Say No, Naa Kehna Seekho Jaise Apko Apke Dost Ne Kisi Cheez Ke Liye Invite Kiya Like Party ya Drinks Ke Liye aur Apko Nahi Jaana Toh Usse Saaf Saaf No Kehdo.

I Hope Aap Logon Ko Ye Post Pasand Aayi Hogi, Please Iss Post Ko Apne Doston Ke Saath Bhi Share Kare. Thank-You.

0 Comments